phul mahke chamanistan mein jo KHandan ho kar
phul mahke chamanistan mein jo KHandan ho kar
Nwab Saif Ali Sayyaf
MORE BYNwab Saif Ali Sayyaf
phuul mahke chamanistāñ meñ jo ḳhandāñ ho kar
ham bhī sahrā ko chale chāk-e-garebāñ ho kar
ye bhī hai shūmī-e-taqdīr ki rah jaate haiñ
un kī mahfil meñ mire qatl ke sāmāñ ho kar
sham-e-hasrat meñ jalāo na hameñ bahr-e-ḳhudā
aate haiñ bazm meñ ik raat ke mehmāñ ho kar
gaḌ gayā aur nadāmat se pas-e-marg jo vo
aa ke baiThe mirī bālīñ pe pashemāñ ho kar
ham to gesū ko tire sauñp chale haiñ dam-e-naz.a
dekheñ ab rahtī hai kis kī shab-e-hijrāñ ho kar
mere nāloñ kī jo āvāz pahuñch jaatī hai
ghar se bāhar nikal aate haiñ pareshāñ ho kar
pahle jo hālat-e-vahshat pe hañsā karte the
ro rahe haiñ vahī ab chāk-garebāñ ho kar
dil to vo le ga.e pahlī hī nazar meñ 'sayyāf'
kyā mudārāt kareñ be-sar-o-sāmāñ ho kar
phul mahke chamanistan mein jo KHandan ho kar
hum bhi sahra ko chale chaak-e-gareban ho kar
ye bhi hai shumi-e-taqdir ki rah jate hain
un ki mahfil mein mere qatl ke saman ho kar
sham-e-hasrat mein jalao na hamein bahr-e-KHuda
aate hain bazm mein ek raat ke mehman ho kar
gaD gaya aur nadamat se pas-e-marg jo wo
aa ke baiThe meri baalin pe pasheman ho kar
hum to gesu ko tere saunp chale hain dam-e-naza
dekhen ab rahti hai kis ki shab-e-hijran ho kar
mere nalon ki jo aawaz pahunch jati hai
ghar se bahar nikal aate hain pareshan ho kar
pahle jo haalat-e-wahshat pe hansa karte the
ro rahe hain wahi ab chaak-gareban ho kar
dil to wo le gae pahli hi nazar mein 'sayyaf'
kya mudaraat karen be-sar-o-saman ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.