phul meri zat ke sahraon mein bo jaega
phul meri zat ke sahraon mein bo jaega
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
phuul merī zaat ke sahrāoñ meñ bo jā.egā
aane vaalī bārishoñ meñ vo mirā ho jā.egā
vo to ik darvesh hai shahr-e-vafā kī ḳhaak par
hijr kī oḌhegā chādar chain se so jā.egā
koī bhī martā nahīñ hai marne vaale ke liye
vo bhī sab ke saath aa.egā mujhe ro jā.egā
chāñd tāroñ kī mohabbat zeb detī hai use
bas ye ḳhadsha hai ḳhalāoñ meñ kahīñ kho jā.egā
vo agar barse to saarī gard dasht-e-hijr kī
ek pal meñ tez bārish kī tarah dho jā.egā
ek kā ban kar rahegā to zamāna hai 'na.īm'
bevafā jis din huā lamhoñ kā vo ho jā.egā
phul meri zat ke sahraon mein bo jaega
aane wali barishon mein wo mera ho jaega
wo to ek darwesh hai shahr-e-wafa ki KHak par
hijr ki oDhega chadar chain se so jaega
koi bhi marta nahin hai marne wale ke liye
wo bhi sab ke sath aaega mujhe ro jaega
chand taron ki mohabbat zeb deti hai use
bas ye KHadsha hai KHalaon mein kahin kho jaega
wo agar barse to sari gard dasht-e-hijr ki
ek pal mein tez barish ki tarah dho jaega
ek ka ban kar rahega to zamana hai 'naim'
bewafa jis din hua lamhon ka wo ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.