phul patthar mein khil uTha hai kya
phuul patthar meñ khil uThā hai kyā
pyaar mujh se use huā hai kyā
apnī zid se vo kuchh haTā hai kyā
mere baare meñ kuchh kahā hai kyā
us se pūchhūñ to kis tarah pūchhūñ
vo mujhe chāhne lagā hai kyā
baar baar aa rahī hai kānoñ meñ
zindagī ye tirī sadā hai kyā
paḌh rahe ho kitāb kī sūrat
mere chehre pe kuchh likhā hai kyā
aisā lagtā hai kuchh sunā maiñ ne
aap ne mujh se kuchh kahā hai kyā
mujh ko kab se hai justujū apnī
maiñ kahāñ huuñ tumheñ pata hai kyā
phul patthar mein khil uTha hai kya
pyar mujh se use hua hai kya
apni zid se wo kuchh haTa hai kya
mere bare mein kuchh kaha hai kya
us se puchhun to kis tarah puchhun
wo mujhe chahne laga hai kya
bar bar aa rahi hai kanon mein
zindagi ye teri sada hai kya
paDh rahe ho kitab ki surat
mere chehre pe kuchh likha hai kya
aisa lagta hai kuchh suna main ne
aap ne mujh se kuchh kaha hai kya
mujh ko kab se hai justuju apni
main kahan hun tumhein pata hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.