phul patton ka silsila hoga
phuul pattoñ kā silsila hogā
ghar hamārā harā-bharā hogā
jaane var hai ki shaab hai koī
sab meñ rah ke bhī vo judā hogā
bojh lagtā hai dil pe parbat sā
dekh kar bhī vo chup rahā hogā
ab irādoñ kī baag ko kholeñ
qāfila to guzar gayā hogā
chāñd sūraj ko chhoḌ kar ik din
apne hāthoñ meñ ik diyā hogā
jo lagā.egā soch par bandhan
baat be-bāt bhī ḳhafā hogā
terī khiḌkī meñ jo chahaktā hai
vo pakherū kabhī havā hogā
phul patton ka silsila hoga
ghar hamara hara-bhara hoga
jaane war hai ki shab hai koi
sab mein rah ke bhi wo juda hoga
bojh lagta hai dil pe parbat sa
dekh kar bhi wo chup raha hoga
ab iradon ki bag ko kholen
qafila to guzar gaya hoga
chand suraj ko chhoD kar ek din
apne hathon mein ek diya hoga
jo lagaega soch par bandhan
baat be-baat bhi KHafa hoga
teri khiDki mein jo chahakta hai
wo pakheru kabhi hawa hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.