phul sab ke liye mahakte hain
phuul sab ke liye mahakte haiñ
log lekin kahāñ samajhte haiñ
zindagī jī rahe haiñ ham lekin
zindagī ke liye taraste haiñ
vaqt kā ek naam aur bhī hai
log marham bhī is ko kahte haiñ
roz milte nahīñ haiñ ham ḳhud se
roz ḳhud se magar bichhaḌte haiñ
phuul jaise jo khil nahīñ paate
phuul jaise vahī bikharte haiñ
vaqt meñ ḳhāsiyat hai kyā aisī
vaqt ke saath sab badalte haiñ
phul sab ke liye mahakte hain
log lekin kahan samajhte hain
zindagi ji rahe hain hum lekin
zindagi ke liye taraste hain
waqt ka ek nam aur bhi hai
log marham bhi is ko kahte hain
roz milte nahin hain hum KHud se
roz KHud se magar bichhaDte hain
phul jaise jo khil nahin pate
phul jaise wahi bikharte hain
waqt mein KHasiyat hai kya aisi
waqt ke sath sab badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.