phul sab murjha gae hain titliyan KHamosh hain
phuul sab murjhā ga.e haiñ titliyāñ ḳhāmosh haiñ
ḳhvāb mere TūTne par kirchiyāñ ḳhāmosh haiñ
karvaTeñ liiñ vaqt ne phir hijrateñ karnī paḌīñ
merī bastī luT ga.ī sab bastiyāñ ḳhāmosh haiñ
ek muddat se is āñgan meñ hai vīrānī bapā
jhūle ḳhālī jhul rahe haiñ kursiyāñ ḳhāmosh haiñ
kyā huā ye anjuman meñ kaun sāhab aa ga.e
haath hilte dikh rahe haiñ tāliyāñ ḳhāmosh haiñ
uf qabīle ke baḌoñ kī noch Daalī dāḌhiyāñ
sānahe par Topiyāñ aur pagḌiyāñ ḳhāmosh haiñ
mere mausam ne chalī hai chaal phir koī na.ī
itnī tez āñdhī hai phir bhī khiḌkiyāñ ḳhāmosh haiñ
muddatoñ se ye imārat band hai 'ābis' miyāñ
taale zang-ālūd haiñ aur chābiyāñ ḳhāmosh haiñ
phul sab murjha gae hain titliyan KHamosh hain
KHwab mere TuTne par kirchiyan KHamosh hain
karwaTen lin waqt ne phir hijraten karni paDin
meri basti luT gai sab bastiyan KHamosh hain
ek muddat se is aangan mein hai virani bapa
jhule KHali jhul rahe hain kursiyan KHamosh hain
kya hua ye anjuman mein kaun sahab aa gae
hath hilte dikh rahe hain taliyan KHamosh hain
uf qabile ke baDon ki noch Dali daDhiyan
sanahe par Topiyan aur pagDiyan KHamosh hain
mere mausam ne chali hai chaal phir koi nai
itni tez aandhi hai phir bhi khiDkiyan KHamosh hain
muddaton se ye imarat band hai 'abis' miyan
tale zang-alud hain aur chabiyan KHamosh hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.