phul samjhe the Khaar nikla hai
phuul samjhe the ḳhaar niklā hai
jān-levā ye pyaar niklā hai
tiir chhoḌā nahīñ abhī ham ne
to ye kyā ār-pār niklā hai
merī hālat pe aa.ina royā
koī to ġham-gusār niklā hai
daam do dil ke dil ko le jaao
aisā bhī ishtihār niklā hai
jazba vahshat kā thaam kar mujh ko
aaj phir sū-e-dār niklā hai
raah meñ baiThā huuñ magar us ko
DhūñDne intizār niklā hai
hasrateñ mar chukīñ magar un ke
dil ke andar mazār niklā hai
jo bhī niklā hai us kī mahfil se
jaane kyoñ ashk-bār niklā hai
phul samjhe the KHar nikla hai
jaan-lewa ye pyar nikla hai
tir chhoDa nahin abhi hum ne
to ye kya aar-par nikla hai
meri haalat pe aaina roya
koi to gham-gusar nikla hai
dam do dil ke dil ko le jao
aisa bhi ishtihaar nikla hai
jazba wahshat ka tham kar mujh ko
aaj phir su-e-dar nikla hai
rah mein baiTha hun magar us ko
DhunDne intizar nikla hai
hasraten mar chukin magar un ke
dil ke andar mazar nikla hai
jo bhi nikla hai us ki mahfil se
jaane kyon ashk-bar nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.