phul se jism ki sangat mujhe le Dubegi
phuul se jism kī sangat mujhe le Dūbegī
tere hoñToñ kī halāvat mujhe le Dūbegī
mauj-dar-mauj chalī aatī hai raqsāñ raqsāñ
aaj dariyā kī saḳhāvat mujhe le Dūbegī
ek sūraj kī kiran dil meñ utar jā.egī
ye tirī tez tabī'at mujhe le Dūbegī
mere allāh qayāmat kī zarūrat kyā hai
us qayāmat kī nadāmat mujhe le Dūbegī
phul se jism ki sangat mujhe le Dubegi
tere honTon ki halawat mujhe le Dubegi
mauj-dar-mauj chali aati hai raqsan raqsan
aaj dariya ki saKHawat mujhe le Dubegi
ek suraj ki kiran dil mein utar jaegi
ye teri tez tabi'at mujhe le Dubegi
mere allah qayamat ki zarurat kya hai
us qayamat ki nadamat mujhe le Dubegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.