phul se KHushbu uThi aur rang paikar se uTha
phuul se ḳhushbū uThī aur rang paikar se uThā
hasrat-e-nazzāra le kar maiñ bhī manzar se uThā
raushnī phailī to apnī be-gharī ke ḳhauf se
ik laraztā hāñptā saayā mire Dar se uThā
ḳhvāhish-e-ta.abīr aisī thī ki apnī niiñd se
maiñ nahīñ jaagā to merā ḳhvāb bistar se uThā
hashr se kuchh kam nahīñ hai dast-e-qātil ke liye
ḳhūn-e-nāhaq to rahā chup shor ḳhanjar se uThā
aa.ine kā ye karam ham pe huā ki bazm meñ
vo jo ham se duur baiThā thā barābar se uThā
phul se KHushbu uThi aur rang paikar se uTha
hasrat-e-nazzara le kar main bhi manzar se uTha
raushni phaili to apni be-ghari ke KHauf se
ek larazta hanpta saya mere Dar se uTha
KHwahish-e-tabir aisi thi ki apni nind se
main nahin jaga to mera KHwab bistar se uTha
hashr se kuchh kam nahin hai dast-e-qatil ke liye
KHun-e-nahaq to raha chup shor KHanjar se uTha
aaine ka ye karam hum pe hua ki bazm mein
wo jo hum se dur baiTha tha barabar se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.