phul se lahje mein talwar kahan se aai
phuul se lahje meñ talvār kahāñ se aa.ī
tujh meñ ye jur.at-e-inkār kahāñ se aa.ī
maiñ to samjhā thā ki thak jā.uñgā chalte chalte
mere qadmoñ meñ ye raftār kahāñ se aa.ī
ye to sab maañ kī du'āoñ kā asar hai varna
gardish-e-vaqt taraf-dār kahāñ se aa.ī
kholiyāñ zaḳhmī parindoñ kī tarah se taḌpeñ
TūTtī raat meñ ye car kahāñ se aa.ī
maiñ to pardes meñ rahtā huuñ mire bhaa.ī batā
mere āñgan meñ ye dīvār kahāñ aa.ī
gir ga.ī hai to ye ehsās hai nange sar huuñ
sochtā huuñ ki ye dastār kahāñ se aa.ī
bint-e-iflās ne Thukrā diyā shahzāda-e-zar
is qabīle meñ ye ḳhuddār kahāñ se aa.ī
phul se lahje mein talwar kahan se aai
tujh mein ye jurat-e-inkar kahan se aai
main to samjha tha ki thak jaunga chalte chalte
mere qadmon mein ye raftar kahan se aai
ye to sab man ki du'aon ka asar hai warna
gardish-e-waqt taraf-dar kahan se aai
kholiyan zaKHmi parindon ki tarah se taDpen
TuTti raat mein ye car kahan se aai
main to pardes mein rahta hun mere bhai bata
mere aangan mein ye diwar kahan aai
gir gai hai to ye ehsas hai nange sar hun
sochta hun ki ye dastar kahan se aai
bint-e-iflas ne Thukra diya shahzada-e-zar
is qabile mein ye KHuddar kahan se aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.