phul se zaKHmon ka ambar sanbhaale hue hain
phuul se zaḳhmoñ kā ambār sañbhāle hue haiñ
ġham kī pūñjī mire ash’ār sañbhāle hue haiñ
ham se pūchho na shab-o-roz kā 'ālam socho
kaise dhaḌkan kī ye raftār sañbhāle hue haiñ
ghar bhī bāzār kī mānind rakhe haiñ apne
vo jo bāzār kā me'yār sañbhāle hue haiñ
ek novel haiñ kabhī paḌh tū hameñ fursat meñ
tan-e-tanhā ka.ī kirdār sañbhāle hue haiñ
ham mohabbat ke tale kaañp rahe haiñ aise
jaise darkī huī dīvār sañbhāle hue haiñ
zaḳhm le kar ye sabhī apne maiñ jaatā bhī kahāñ
yuuñ bhī ijlās gunahgār sañbhāle hue haiñ
phul se zaKHmon ka ambar sanbhaale hue hain
gham ki punji mere ash’ar sanbhaale hue hain
hum se puchho na shab-o-roz ka 'alam socho
kaise dhaDkan ki ye raftar sanbhaale hue hain
ghar bhi bazar ki manind rakhe hain apne
wo jo bazar ka me'yar sanbhaale hue hain
ek nowel hain kabhi paDh tu hamein fursat mein
tan-e-tanha kai kirdar sanbhaale hue hain
hum mohabbat ke tale kanp rahe hain aise
jaise darki hui diwar sanbhaale hue hain
zaKHm le kar ye sabhi apne main jata bhi kahan
yun bhi ijlas gunahgar sanbhaale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.