phul sheron ki rawani mein chale talwar bhi
phuul she'roñ kī ravānī meñ chale talvār bhī
bāñsurī kī taan meñ hai nīmche kī dhaar bhī
dil kī dhartī par kapilvastu meñ ḳhaibar chāhiye
aadmī gautam bhī ho aur haidar-e-karrār bhī
dard par hai us ke chaḌhne aur utarne kā madār
dil vo dariyā hai ki hai pāyāb bhī mañjdhār bhī
Taañk de āh-o-bukā meñ shabnamī chingāriyāñ
aañkh sāvan kī jhaḌī ho abr-e-ātish-bār bhī
maut aa.e to use pahnā shahādat kā suhāg
maut naḳhl-e-dār bhī hai maut ik muTiyār bhī
phul she'ron ki rawani mein chale talwar bhi
bansuri ki tan mein hai nimche ki dhaar bhi
dil ki dharti par kapilwastu mein KHaibar chahiye
aadmi gautam bhi ho aur haidar-e-karrar bhi
dard par hai us ke chaDhne aur utarne ka madar
dil wo dariya hai ki hai payab bhi manjdhaar bhi
Tank de aah-o-buka mein shabnami chingariyan
aankh sawan ki jhaDi ho abr-e-atish-bar bhi
maut aae to use pahna shahadat ka suhag
maut naKHl-e-dar bhi hai maut ek muTiyar bhi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 304)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.