phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
phuul the bādal bhī thā aur vo hasīñ sūrat bhī thī
dil meñ lekin aur hī ik shakl kī hasrat bhī thī
jo havā meñ ghar banā.e kaash koī dekhtā
dasht meñ rahte the par ta.amīr kī aadat bhī thī
kah gayā maiñ sāmne us ke jo dil kā mudda.ā
kuchh to mausam bhī ajab thā kuchh mirī himmat bhī thī
ajnabī shahroñ meñ rahte umr saarī kaT ga.ī
go zarā se fāsle par ghar kī har rāhat bhī thī
kyā qayāmat hai 'munīr' ab yaad bhī aate nahīñ
vo purāne āshnā jin se hameñ ulfat bhī thī
phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
dil mein lekin aur hi ek shakl ki hasrat bhi thi
jo hawa mein ghar banae kash koi dekhta
dasht mein rahte the par tamir ki aadat bhi thi
kah gaya main samne us ke jo dil ka muddaa
kuchh to mausam bhi ajab tha kuchh meri himmat bhi thi
ajnabi shahron mein rahte umr sari kaT gai
go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi
kya qayamat hai 'munir' ab yaad bhi aate nahin
wo purane aashna jin se hamein ulfat bhi thi
- Book : Junoon (Pg. 170)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.