phul wo de kar mujhe kanTon ka gulshan de gaya
phuul vo de kar mujhe kāñToñ kā gulshan de gayā
ek lamhe kā sukūñ sadiyoñ kī uljhan de gayā
kam-nigāhī thī mirī yā sāda-lauhī kyā kahūñ
le ke vo sonā mirā pītal ke kangan de gayā
vo koī munsif na thā jo de ke merā ghar tumheñ
sadiyoñ sadiyoñ ke liye aapas kī an-ban de gayā
sāzishoñ kī zad meñ hai shaiḳh-e-haram kī zindagī
ye ḳhabar chupke se ik būḌhā barahman de gayā
mustaqil rahtā hai mere saath saa.e kī tarah
ek mub.ham ḳhauf-e-jāñ jo merā dushman de gayā
ham-safar bhī luuT letā hai musāfir ko kabhī
ye sabaq mujh ko 'umar' ḳhud merā rahzan de gayā
phul wo de kar mujhe kanTon ka gulshan de gaya
ek lamhe ka sukun sadiyon ki uljhan de gaya
kam-nigahi thi meri ya sada-lauhi kya kahun
le ke wo sona mera pital ke kangan de gaya
wo koi munsif na tha jo de ke mera ghar tumhein
sadiyon sadiyon ke liye aapas ki an-ban de gaya
sazishon ki zad mein hai shaiKH-e-haram ki zindagi
ye KHabar chupke se ek buDha barahman de gaya
mustaqil rahta hai mere sath sae ki tarah
ek mubham KHauf-e-jaan jo mera dushman de gaya
ham-safar bhi luT leta hai musafir ko kabhi
ye sabaq mujh ko 'umar' KHud mera rahzan de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.