phul zamin par gira phir mujhe nind aa gai
phuul zamīn par girā phir mujhe niiñd aa ga.ī
duur kisī ne kuchh kahā phir mujhe niiñd aa ga.ī
abr kī oT meñ kahīñ narm sī dastakeñ huiiñ
saath hī koī dar khulā phir mujhe niiñd aa ga.ī
raat bahut havā chalī aur shajar bahut Dare
maiñ bhī zarā zarā Darā phir mujhe niiñd aa ga.ī
aur hī ek samt se aur hī ik maqām par
gard ne shahr ko chhuā phir mujhe niiñd aa ga.ī
apne hī ek ruup se taaza suḳhan ke darmiyāñ
maiñ kisī baat par hañsā phir mujhe niiñd aa ga.ī
tū kahīñ ās-pās thā vo tirā iltibās thā
maiñ use dekhtā rahā phir mujhe niiñd aa ga.ī
ek ajab firāq se ek ajab visāl tak
apne ḳhayāl meñ chalā phir mujhe niiñd aa ga.ī
phul zamin par gira phir mujhe nind aa gai
dur kisi ne kuchh kaha phir mujhe nind aa gai
abr ki oT mein kahin narm si dastaken huin
sath hi koi dar khula phir mujhe nind aa gai
raat bahut hawa chali aur shajar bahut Dare
main bhi zara zara Dara phir mujhe nind aa gai
aur hi ek samt se aur hi ek maqam par
gard ne shahr ko chhua phir mujhe nind aa gai
apne hi ek rup se taza suKHan ke darmiyan
main kisi baat par hansa phir mujhe nind aa gai
tu kahin aas-pas tha wo tera iltibas tha
main use dekhta raha phir mujhe nind aa gai
ek ajab firaq se ek ajab visal tak
apne KHayal mein chala phir mujhe nind aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.