phulon jaisa jism hai us ka nazuk nazuk hath
phūloñ jaisā jism hai us kā nāzuk nāzuk haath
dekh ke us ko kaise raheñge qaabū meñ jazbāt
jis ne ham ko chhoḌ diyā thā tanhā kar ke dost
vaqt milā to ham bhī us se pūchheñge hālāt
aisā na.iiñ hai us kā mujh par ro'b chale har vaqt
kaaT bhī saktā huuñ maiñ us kī achchhī-ḳhāsī baat
aksar aisā ho jaatā hai ham donoñ ke biich
maiñ qirtās pe rakh detā huuñ āñkheñ aur vo haath
dushman bhī vo dost bane haiñ mere dost 'nadīm'
jis din niklūñgā maiñ ghar se lag jā.egī ghaat
phulon jaisa jism hai us ka nazuk nazuk hath
dekh ke us ko kaise rahenge qabu mein jazbaat
jis ne hum ko chhoD diya tha tanha kar ke dost
waqt mila to hum bhi us se puchhenge haalat
aisa nain hai us ka mujh par ro'b chale har waqt
kaT bhi sakta hun main us ki achchhi-KHasi baat
aksar aisa ho jata hai hum donon ke bich
main qirtas pe rakh deta hun aankhen aur wo hath
dushman bhi wo dost bane hain mere dost 'nadim'
jis din niklunga main ghar se lag jaegi ghat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.