phulon ki anjuman mein bahut der tak raha
phūloñ kī anjuman meñ bahut der tak rahā
koī mire chaman meñ bahut der tak rahā
aayā thā mere paas vo kuchh der ke liye
sūraj magar gahan meñ bahut der tak rahā
maiñ roktā rahā use chālākiyoñ ke saath
vo apne bhole-pan meñ bahut der tak rahā
jo shah milī to dil mirā bebāk ho gayā
nairañgī-e-badan meñ bahut der tak rahā
āñkhoñ meñ aa gayā hai mirī bhī zarā sā daaġh
phuul us ke pairahan meñ bahut der tak rahā
aayā nahīñ hai khīñch ke laanā paḌā mujhe
dil yaar ke vatan meñ bahut der tak rahā
us ke baġhair jaise jahannam hai zindagī
maiñ jannat-e-adn meñ bahut der tak rahā
donoñ se saath saath mulāqāt ho ga.ī
kuchh sarv kuchh saman meñ bahut der tak rahā
phulon ki anjuman mein bahut der tak raha
koi mere chaman mein bahut der tak raha
aaya tha mere pas wo kuchh der ke liye
suraj magar gahan mein bahut der tak raha
main rokta raha use chaalakiyon ke sath
wo apne bhole-pan mein bahut der tak raha
jo shah mili to dil mera bebak ho gaya
nairangi-e-badan mein bahut der tak raha
aankhon mein aa gaya hai meri bhi zara sa dagh
phul us ke pairahan mein bahut der tak raha
aaya nahin hai khinch ke lana paDa mujhe
dil yar ke watan mein bahut der tak raha
us ke baghair jaise jahannam hai zindagi
main jannat-e-adn mein bahut der tak raha
donon se sath sath mulaqat ho gai
kuchh sarw kuchh saman mein bahut der tak raha
- Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.