phulon ki barsat hui hai aur kuchh patthar aae hain
phūloñ kī barsāt huī hai aur kuchh patthar aa.e haiñ
is bastī meñ ham dīvāne soch samajh kar aa.e haiñ
haq ne shāyad bātil kī bai'at se phir inkār kiyā
aaj sunā hai bāzāroñ meñ nezoñ par sar aa.e haiñ
maiḳhāne meñ shaiḳh-e-haram ko dekhā to maujūd mile
kis meñ dam hai pūchh sake kyoñ aap yahāñ par aa.e haiñ
chand qadam par baiTh ga.e thak kar manzil ke shaidā.ī
chehre se aisā lagtā hai mīloñ chal kar aa.e haiñ
sahrā sahrā ghuum rahe the ta.abīroñ ke chakkar meñ
bikhre hue sab ḳhvāb mile haiñ lauT ke jab ghar aa.e haiñ
us kī anā ne pyaas ke aalam meñ marnā manzūr kiyā
varna us ke hoñToñ tak ḳhud khiñch ke samundar aa.e haiñ
ġhair-shu.ūrī taur pe un ke lab pe mire ash.ār rahe
ḳhabar milī hai 'nāzim' aise mauqa aksar aa.e haiñ
phulon ki barsat hui hai aur kuchh patthar aae hain
is basti mein hum diwane soch samajh kar aae hain
haq ne shayad baatil ki bai'at se phir inkar kiya
aaj suna hai bazaron mein nezon par sar aae hain
maiKHane mein shaiKH-e-haram ko dekha to maujud mile
kis mein dam hai puchh sake kyon aap yahan par aae hain
chand qadam par baiTh gae thak kar manzil ke shaidai
chehre se aisa lagta hai milon chal kar aae hain
sahra sahra ghum rahe the tabiron ke chakkar mein
bikhre hue sab KHwab mile hain lauT ke jab ghar aae hain
us ki ana ne pyas ke aalam mein marna manzur kiya
warna us ke honTon tak KHud khinch ke samundar aae hain
ghair-shuuri taur pe un ke lab pe mere ashaar rahe
KHabar mili hai 'nazim' aise mauqa aksar aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.