phulon ki hai taKHliq ki shoalon se bana hai
phūloñ kī hai taḳhlīq ki sho.aloñ se banā hai
kundan sā tirā jism jo ḳhushbū meñ basā hai
jangal ke ġhazāloñ pe ajab ḳhauf hai taarī
tūfān koī shahr kī jānib se uThā hai
ye husn-e-chaman hai mire ehsās kī taḳhlīq
varna kahīñ gul hai na kahīñ mauj-e-sabā hai
har lafz tire chehre kī tasvīr banā thā
kis karb se sau baar tire ḳhat ko paḌhā hai
Daalo mire kānoñ meñ bhī pighlā huā siisa
ai barhamano maiñ ne bhī to ved sunā hai
tum DhūñDte phirte ho jise sehn-e-chaman meñ
vo shaḳhs abhī kūcha-e-qātil ko gayā hai
phulon ki hai taKHliq ki shoalon se bana hai
kundan sa tera jism jo KHushbu mein basa hai
jangal ke ghazalon pe ajab KHauf hai tari
tufan koi shahr ki jaanib se uTha hai
ye husn-e-chaman hai mere ehsas ki taKHliq
warna kahin gul hai na kahin mauj-e-saba hai
har lafz tere chehre ki taswir bana tha
kis karb se sau bar tere KHat ko paDha hai
Dalo mere kanon mein bhi pighla hua sisa
ai barhamano main ne bhi to wed suna hai
tum DhunDte phirte ho jise sehn-e-chaman mein
wo shaKHs abhi kucha-e-qatil ko gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.