phulon ki misalen hain kanTon ka hawala hai
phūloñ kī misāleñ haiñ kāñToñ kā havāla hai
jīvan kī hathelī par rishtoñ kā qabāla hai
ik habs kā aalam hai gulshan ho ki sahrā ho
bekal haiñ parinde bhī bechain ġhazāla hai
insāf pe saaqī ke harf aa.e na kyoñ āḳhir
kam-zarf ke hāthoñ meñ labrez piyāla hai
TūTegī ḳhamoshī jab aivān hilā degī
jin hoñToñ kī sarhad par fariyād na naala hai
āñkhoñ ke jazīre meñ ḳhvāboñ ke gharauñde haiñ
aur ḳhvāboñ ke kandhoñ par aashā kā do-shāla hai
jaa.eñ to kidhar jaa.eñ sāhil pe hai daldal aur
dariyā meñ jo utre to girdāb kā haala hai
phulon ki misalen hain kanTon ka hawala hai
jiwan ki hatheli par rishton ka qabaala hai
ek habs ka aalam hai gulshan ho ki sahra ho
bekal hain parinde bhi bechain ghazala hai
insaf pe saqi ke harf aae na kyon aaKHir
kam-zarf ke hathon mein labrez piyala hai
TuTegi KHamoshi jab aiwan hila degi
jin honTon ki sarhad par fariyaad na nala hai
aankhon ke jazire mein KHwabon ke gharaunde hain
aur KHwabon ke kandhon par aasha ka do-shaala hai
jaen to kidhar jaen sahil pe hai daldal aur
dariya mein jo utre to girdab ka haala hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.