phulon ki narm chhaon mein jalta raha badan
phūloñ kī narm chhāoñ meñ jaltā rahā badan
fitrat meñ sang ho ke pighaltā rahā badan
‘aish-o-tarab ke saa.e meñ paltī rahī hayāt
hirs-o-havas kī aag meñ jaltā rahā badan
murda zamīr ho ga.e hālāt ke sabab
poshāk maslahat kī badaltā rahā badan
bahr-e-tafakkurāt kī yūrish na pūchhiye
paanī meñ rah ke aag ugaltā rahā badan
duniyā kī dhuup chhāoñ meñ rahne ke baa'd bhī
ġhunche kī tarh phūltā phaltā rahā badan
sarv o saman shagūfa gul-o-lāla nastaran
kitne hī zāviyoñ meñ vo Dhaltā rahā badan
maazī ke nashtaroñ ke kachokoñ se ai 'adīm'
ho kar lahūluhān machaltā rahā badan
phulon ki narm chhaon mein jalta raha badan
fitrat mein sang ho ke pighalta raha badan
‘aish-o-tarab ke sae mein palti rahi hayat
hirs-o-hawas ki aag mein jalta raha badan
murda zamir ho gae haalat ke sabab
poshak maslahat ki badalta raha badan
bahr-e-tafakkuraat ki yurish na puchhiye
pani mein rah ke aag ugalta raha badan
duniya ki dhup chhaon mein rahne ke ba'd bhi
ghunche ki tarh phulta phalta raha badan
sarw o saman shagufa gul-o-lala nastaran
kitne hi zawiyon mein wo Dhalta raha badan
mazi ke nashtaron ke kachokon se ai 'adim'
ho kar lahuluhan machalta raha badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.