phulon ko barsao tum bhi
phūloñ ko barsāo tum bhī
tāre-vāre laao tum bhī
chalte chalte filmoñ jaise
mujh meñ aa Takrāo tum bhī
maiñ bhī nīñdeñ lambī lūñgī
gar ḳhvāboñ meñ aao tum bhī
mujh ko khonā kaisā hogā
thoḌā to ghabrāo tum bhī
kab se ik-tarfa rakkhā hai
ab mere kahlāo tum bhī
phulon ko barsao tum bhi
tare-ware lao tum bhi
chalte chalte filmon jaise
mujh mein aa Takrao tum bhi
main bhi ninden lambi lungi
gar KHwabon mein aao tum bhi
mujh ko khona kaisa hoga
thoDa to ghabrao tum bhi
kab se ik-tarfa rakkha hai
ab mere kahlao tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.