phulon ko sharmsar kisi ne nahin kiya
phūloñ ko sharmsār kisī ne nahīñ kiyā
kāñToñ ko jhuk ke pyaar kisī ne nahīñ kiyā
yuuñ to gilā ḳhizāñ kā sabhoñ ne kiyā magar
shukrāna-e-bahār kisī ne nahīñ kiyā
buniyād-e-ishq maslahat-āmez ho ga.ī
malbūs tār-tār kisī ne nahīñ kiyā
talvāreñ be-niyām haiñ maz.hab ke naam par
nau-e-bashar se pyaar kisī ne nahīñ kiyā
haq kī duhā.ī de sabhī ḳhāmosh ho ga.e
bātil ko sangsār kisī ne nahīñ kiyā
'aḳhtar' baḌhe chale ga.e sab rah-ravān-e-shauq
kuchh merā intizār kisī ne nahīñ kiyā
phulon ko sharmsar kisi ne nahin kiya
kanTon ko jhuk ke pyar kisi ne nahin kiya
yun to gila KHizan ka sabhon ne kiya magar
shukrana-e-bahaar kisi ne nahin kiya
buniyaad-e-ishq maslahat-amez ho gai
malbus tar-tar kisi ne nahin kiya
talwaren be-niyam hain mazhab ke nam par
nau-e-bashar se pyar kisi ne nahin kiya
haq ki duhai de sabhi KHamosh ho gae
baatil ko sangsar kisi ne nahin kiya
'aKHtar' baDhe chale gae sab rah-rawan-e-shauq
kuchh mera intizar kisi ne nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.