phulon mein wo KHushbu wo sabahat nahin aai
phūloñ meñ vo ḳhushbū vo sabāhat nahīñ aa.ī
ab tak tire aane kī shahādat nahīñ aa.ī
mausam thā numā.ish kā magar aañkh na kholī
jānāñ tire zaḳhmoñ ko siyāsat nahīñ aa.ī
jo ruuh se āzār kī mānind lipaT jaa.e
ham par vo ghaḌī ai shab-e-vahshat nahīñ aa.ī
ai dasht-e-anal-haq tire qurbān abhī tak
vo manzil iz.hār-e-sadāqat nahīñ aa.ī
ham log ki haiñ maaoñ se bichhḌe hue bachche
hisse meñ kisī ke bhī mohabbat nahīñ aa.ī
ham ne to bahut harf tirī mad.h meñ soche
afsos ki sunvā.ī kī naubat nahīñ aa.ī
larze bhī nahīñ shahr ke hassās dar-o-bām
dil raakh hue phir bhī qayāmat nahīñ aa.ī
'sājid' vo sahar jis ke liye raat bhī roī
aa.ī to sahī hasb-e-zarūrat nahīñ aa.ī
phulon mein wo KHushbu wo sabahat nahin aai
ab tak tere aane ki shahadat nahin aai
mausam tha numaish ka magar aankh na kholi
jaanan tere zaKHmon ko siyasat nahin aai
jo ruh se aazar ki manind lipaT jae
hum par wo ghaDi ai shab-e-wahshat nahin aai
ai dasht-e-anal-haq tere qurban abhi tak
wo manzil izhaar-e-sadaqat nahin aai
hum log ki hain maon se bichhDe hue bachche
hisse mein kisi ke bhi mohabbat nahin aai
hum ne to bahut harf teri madh mein soche
afsos ki sunwai ki naubat nahin aai
larze bhi nahin shahr ke hassas dar-o-baam
dil rakh hue phir bhi qayamat nahin aai
'sajid' wo sahar jis ke liye raat bhi roi
aai to sahi hasb-e-zarurat nahin aai
- Book : Muntakhab Gazle.n (Pg. 27)
- Author : Nasir Zaidi
- Publication : Zahid Malik (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.