phulon ne jab bhi aankh kabhi ashk-bar ki
phūloñ ne jab bhī aañkh kabhī ashk-bār kī
uTThī haiñ siskiyāñ ka.ī bād-e-bahār kī
ahd-e-vafā bhī va.ada-e-fardā meñ Dhal gayā
ab rut guzar ga.ī hai tire e'tibār kī
gar hausla nahīñ ye to vāpas palaT chalo
manzil bahut kaḌī hai vafā ke dayār kī
bā-iḳhtiyār ho ke bhī be-iḳhtiyār haiñ
kyoñ baat us ne aaj yahī baar baar kī
har hādisa qubūl kiyā hai ye soch kar
haiñ hādsāt ne.amateñ parvardigār kī
phulon ne jab bhi aankh kabhi ashk-bar ki
uTThi hain siskiyan kai baad-e-bahaar ki
ahd-e-wafa bhi wada-e-farda mein Dhal gaya
ab rut guzar gai hai tere e'tibar ki
gar hausla nahin ye to wapas palaT chalo
manzil bahut kaDi hai wafa ke dayar ki
ba-iKHtiyar ho ke bhi be-iKHtiyar hain
kyon baat us ne aaj yahi bar bar ki
har hadisa qubul kiya hai ye soch kar
hain hadsat neamaten parwardigar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.