phulon se rasm-o-rah kiye ja raha hun main
phulon se rasm-o-rah kiye ja raha hun main
Hakim Mazhar Subhan Usmani
MORE BYHakim Mazhar Subhan Usmani
phūloñ se rasm-o-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
amrit samajh ke zahr piye jā rahā huuñ maiñ
ik uns ho gayā hai ġham-e-āshiqī ke saath
dānista ik gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
jis kī mujhe zamāne se qīmat na mil sakī
vo kā.enāt-e-dard liye jā rahā huuñ meñ
maanā ki zindagī mirī nākām hai magar
koī to baat hai ki jiye jā rahā huuñ maiñ
lākhoñ sitam udhar se idhar ek ḳhāmushī
duniyā ko ik payām diye jā rahā huuñ maiñ
dīvāngī meñ farz-shanāsī nahīñ ga.ī
dāmān-e-gul ke chaak siye jā rahā huuñ maiñ
'maz.har' kisī ke chashm-e-taġhāful ke bāvajūd
ummīd-e-iltifāt kiye jā rahā huuñ maiñ
phulon se rasm-o-rah kiye ja raha hun main
amrit samajh ke zahr piye ja raha hun main
ek uns ho gaya hai gham-e-ashiqi ke sath
danista ek gunah kiye ja raha hun main
jis ki mujhe zamane se qimat na mil saki
wo kaenat-e-dard liye ja raha hun mein
mana ki zindagi meri nakaam hai magar
koi to baat hai ki jiye ja raha hun main
lakhon sitam udhar se idhar ek KHamushi
duniya ko ek payam diye ja raha hun main
diwangi mein farz-shanasi nahin gai
daman-e-gul ke chaak siye ja raha hun main
'mazhar' kisi ke chashm-e-taghaful ke bawajud
ummid-e-iltifat kiye ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.