phulon se saj gai kahin sabza pahan liya
phūloñ se saj ga.ī kahīñ sabza pahan liyā
bārish huī to dhartī ne kyā kyā pahan liyā
jab se paḌhī chatā.ī-nashīnoñ kī zindagī
moTā mahīn jo bhī milā khā pahan liyā
ik jism hai jo roz badaltā hai kuchh libās
ik ruuh hai ki is ne jo pahnā pahan liyā
aisā lagā ki ḳhud bhī baḌā ho gayā huuñ maiñ
jab bhī baḌoñ kā maiñ ne utārā pahan liyā
ḳhud mil gayā hai zehn ko manzil kā har surāġh
qadmoñ ne jab safar kā irāda pahan liyā
maiñ ne bhī aañkh pher lī us kī taraf se aaj
us ne bhī aaj dūsrā chehra pahan liyā
be-iḳhtiyār ho ga.e jab bhī hamāre ashk
ghabrā ke ham ne āñkhoñ pe chashma pahan liyā
phulon se saj gai kahin sabza pahan liya
barish hui to dharti ne kya kya pahan liya
jab se paDhi chatai-nashinon ki zindagi
moTa mahin jo bhi mila kha pahan liya
ek jism hai jo roz badalta hai kuchh libas
ek ruh hai ki is ne jo pahna pahan liya
aisa laga ki KHud bhi baDa ho gaya hun main
jab bhi baDon ka main ne utara pahan liya
KHud mil gaya hai zehn ko manzil ka har suragh
qadmon ne jab safar ka irada pahan liya
main ne bhi aankh pher li us ki taraf se aaj
us ne bhi aaj dusra chehra pahan liya
be-iKHtiyar ho gae jab bhi hamare ashk
ghabra ke hum ne aankhon pe chashma pahan liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.