phunk do mere aashiyane ko
phūñk do mere āshiyāne ko
raushnī to mile zamāne ko
ham to bhaTke qadam qadam lekin
rāsta de diyā zamāne ko
log kyuuñ ek dūsre se mileñ
sun rahe haiñ mire fasāne ko
itne Thahrāv se na dekh mujhe
ruḳh badalnā paḌe zamāne ko
maslahat-sāz ro bhī lete haiñ
vaqt ke saath muskurāne ko
apnī tasvīr sāmne rakh kar
dekhtā huuñ tire zamāne ko
log sab kī ḳhushī samajhte haiñ
chand kaliyoñ ke muskurāne ko
har taraf hai ab ek sannāTā
aur āvāz do zamāne ko
ḳhud na tārīḳh-e-vaqt ban 'anjum'
apnī tārīḳh de zamāne ko
phunk do mere aashiyane ko
raushni to mile zamane ko
hum to bhaTke qadam qadam lekin
rasta de diya zamane ko
log kyun ek dusre se milen
sun rahe hain mere fasane ko
itne Thahraw se na dekh mujhe
ruKH badalna paDe zamane ko
maslahat-saz ro bhi lete hain
waqt ke sath muskurane ko
apni taswir samne rakh kar
dekhta hun tere zamane ko
log sab ki KHushi samajhte hain
chand kaliyon ke muskurane ko
har taraf hai ab ek sannaTa
aur aawaz do zamane ko
KHud na tariKH-e-waqt ban 'anjum'
apni tariKH de zamane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.