phunki tap-e-firaq ne ye tan badan mein aag
phūñkī tap-e-firāq ne ye tan badan meñ aag
ab jism kī jagah hai mire pairahan meñ aag
angāroñ pe liTātī hai furqat meñ sair-e-bāġh
ho merā iḳhtiyār to de duuñ chaman meñ aag
abr-e-siyah nahīñ ye dhuāñ hai bharā huā
kis ne lagā dī aaj sipahr-e-kuhan meñ aag
kushte haiñ tere ruḳh ke jū-e-ātishīñ-ezār
le jā.eñge vo bāñdh kar apne kafan meñ aag
ruḳhsat huī bahār ḳhizāñ ke din aa ga.e
ai bāġhbāñ lagā de ab apne chaman meñ aag
sahrā hamārī garmī-e-raftār se phuñkā
dīvānoñ ke qadam se lag uTThī chaman meñ aag
kis ne kiyā tire lab-e-lālīñ kā tazkira
ahl-e-yaman ne aap lagā dī yaman meñ aag
zulfoñ se yuuñ ayaañ hai tirā rū-e-ātishīñ
jaise lagī ho vādī-e-chīn-o-ḳhutan meñ aag
'akbar' tirī zabān hai kyā sham.a kī zabān
har fiqra terā sho.ala hai hai har suḳhan meñ aag
phunki tap-e-firaq ne ye tan badan mein aag
ab jism ki jagah hai mere pairahan mein aag
angaron pe liTati hai furqat mein sair-e-bagh
ho mera iKHtiyar to de dun chaman mein aag
abr-e-siyah nahin ye dhuan hai bhara hua
kis ne laga di aaj sipahr-e-kuhan mein aag
kushte hain tere ruKH ke ju-e-atishin-ezar
le jaenge wo bandh kar apne kafan mein aag
ruKHsat hui bahaar KHizan ke din aa gae
ai baghban laga de ab apne chaman mein aag
sahra hamari garmi-e-raftar se phunka
diwanon ke qadam se lag uTThi chaman mein aag
kis ne kiya tere lab-e-lalin ka tazkira
ahl-e-yaman ne aap laga di yaman mein aag
zulfon se yun ayan hai tera ru-e-atishin
jaise lagi ho wadi-e-chin-o-KHutan mein aag
'akbar' teri zaban hai kya shama ki zaban
har fiqra tera shoala hai hai har suKHan mein aag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.