phuT chuki hain subh ki kirnen suraj chaDhta jaega
phuT chuki hain subh ki kirnen suraj chaDhta jaega
Nazish Partap Gadhi
MORE BYNazish Partap Gadhi
phuuT chukī haiñ sub.h kī kirneñ sūraj chaḌhtā jā.egā
raat to ḳhud martī hai sitāro tum ko kaun bachā.egā
jo zarra jantā meñ rahegā vo taarā ban jā.egā
jo sūraj un ko bhūlegā vo āḳhir bujh jā.egā
tanhā tanhā ro lene se kuchh na banegā kuchh na banā
mil-jul kar āvāz uThāo parbat bhī hil jā.egā
maanā aaj kaḌā pahrā hai ham biphre insānoñ par
lekin socho tinkā kab tak tūfāñ ko Thahrā.egā
kyuuñ chintā zanjīroñ kī hathkaḌiyoñ se Darnā kaisā
tum añgāra ban jaao lohā ḳhud hī gal jā.egā
jantā kī āvāz dabā de ye hai kis ke bas kī baat
har vo shīsha TūTegā jo patthar se Takrā.egā
pūñjī-patiyoñ yaad rakho vo din bhī ab kuchh duur nahīñ
band tijorī meñ har sikka añgāra ban jā.egā
dukh meñ ronā-dhonā kaisā mūrakh insāñ hosh meñ aa
tū is bhaTTī meñ tap-tap kar kundan bantā jā.egā
tan ke nāsūroñ ko ujle kapḌoñ se Dhāñpā lekin
kis parde meñ le jā kar tū man kā koḌh chhupā.egā
kis ne samjhā hai Dhalte sūraj kā ye sandesh yahāñ
jo bhī bol baḌā bolegā ik din muñh kī khā.egā
phuT chuki hain subh ki kirnen suraj chaDhta jaega
raat to KHud marti hai sitaro tum ko kaun bachaega
jo zarra janta mein rahega wo tara ban jaega
jo suraj un ko bhulega wo aaKHir bujh jaega
tanha tanha ro lene se kuchh na banega kuchh na bana
mil-jul kar aawaz uThao parbat bhi hil jaega
mana aaj kaDa pahra hai hum biphre insanon par
lekin socho tinka kab tak tufan ko Thahraega
kyun chinta zanjiron ki hathkaDiyon se Darna kaisa
tum angara ban jao loha KHud hi gal jaega
janta ki aawaz daba de ye hai kis ke bas ki baat
har wo shisha TuTega jo patthar se Takraega
punji-patiyon yaad rakho wo din bhi ab kuchh dur nahin
band tijori mein har sikka angara ban jaega
dukh mein rona-dhona kaisa murakh insan hosh mein aa
tu is bhaTTi mein tap-tap kar kundan banta jaega
tan ke nasuron ko ujle kapDon se Dhanpa lekin
kis parde mein le ja kar tu man ka koDh chhupaega
kis ne samjha hai Dhalte suraj ka ye sandesh yahan
jo bhi bol baDa bolega ek din munh ki khaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.