phuT kar roun na kyon main KHwab ki tabir par
phuuT kar ro.uuñ na kyoñ maiñ ḳhvāb kī ta.abīr par
ḳhuun ke dekhe haiñ qatre aaj phir zanjīr par
ek maiñ jo nā-tavāñ thā ishq karne ke liye
aur vo research puurī kar chukā thā 'mīr' par
ishq mujh par is tarah haavī huā hai dosto
jis tarah tasvīr girtī hai kisī tasvīr par
beTiyāñ to is liye bhī be-vafā haiñ ishq meñ
baap kī pagḌī hai bhārī ishq kī tāsīr par
aaj ḳhud taqdīr par rotā huā dekhā use
chhoḌ kar mujh ko gayā thā jo mirī taqdīr par
phuT kar roun na kyon main KHwab ki tabir par
KHun ke dekhe hain qatre aaj phir zanjir par
ek main jo na-tawan tha ishq karne ke liye
aur wo research puri kar chuka tha 'mir' par
ishq mujh par is tarah hawi hua hai dosto
jis tarah taswir girti hai kisi taswir par
beTiyan to is liye bhi be-wafa hain ishq mein
bap ki pagDi hai bhaari ishq ki tasir par
aaj KHud taqdir par rota hua dekha use
chhoD kar mujh ko gaya tha jo meri taqdir par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.