pichhle kisi safar ka sitara na DhunD le
pichhle kisī safar kā sitāra na DhūñD le
phir se kahīñ vo saath hamārā na DhūñD le
jis ko ki DhūñDhtī haiñ samundar kī vus.ateñ
dekho kahīñ vo shaḳhs kināra na DhūñD le
manzil hai us ke naam bas itnā rahe ḳhayāl
raste meñ naqsh-e-pā vo hamārā na DhūñD le
maanī thī ek baar jo dil ne ḳhirad kī baat
vaisā ye e'tidāl dobāra na DhūñD le
hotā nahīñ kisī se haq is kā adā 'faroġh'
kyuuñ zindagī ajal kā sahārā na DhūñD le
pichhle kisi safar ka sitara na DhunD le
phir se kahin wo sath hamara na DhunD le
jis ko ki DhunDhti hain samundar ki wusaten
dekho kahin wo shaKHs kinara na DhunD le
manzil hai us ke nam bas itna rahe KHayal
raste mein naqsh-e-pa wo hamara na DhunD le
mani thi ek bar jo dil ne KHirad ki baat
waisa ye e'tidal dobara na DhunD le
hota nahin kisi se haq is ka ada 'farogh'
kyun zindagi ajal ka sahaara na DhunD le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.