pighalte jismon ki raushni se Dara hua hun
pighalte jismoñ kī raushnī se Darā huā huuñ
maiñ chhū rahā huuñ jise usī se Darā huā huuñ
mujhe usī ek dukh kī lat hai usī ko laao
maiñ taaza zaḳhmoñ kī tāzgī se Darā huā huuñ
maiñ apne andar ke shor se ḳhauf khāne vaalā
ab apne andar kī ḳhāmushī se Darā huā huuñ
maiñ kis tarah ik saadā dil ko fareb dūñgā
maiñ us kī āñkhoñ kī sādgī se Darā huā huuñ
pighalte jismon ki raushni se Dara hua hun
main chhu raha hun jise usi se Dara hua hun
mujhe usi ek dukh ki lat hai usi ko lao
main taza zaKHmon ki tazgi se Dara hua hun
main apne andar ke shor se KHauf khane wala
ab apne andar ki KHamushi se Dara hua hun
main kis tarah ek sada dil ko fareb dunga
main us ki aankhon ki sadgi se Dara hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.