pighalti jaan pe kab iKHtiyar tera hai
pighaltī jaan pe kab iḳhtiyār terā hai
ki sham.a-dān pe kab iḳhtiyār terā hai
qafas kī qaid meñ rakh laakh bāl-o-par mere
mirī uḌaan pe kab iḳhtiyār terā hai
qalam zarūr tū hāthoñ se chhīn saktā hai
mirī zabān pe kab iḳhtiyār terā hai
zamīñ to chhīn lī pairoñ tale kī tū ne magar
is āsmān pe kab iḳhtiyār terā hai
ye maanā zaḳhm to bhar degā vaqt kā marham
magar nishān pe kab iḳhtiyār terā hai
ye terā jism pe da.avā to Thiik hai lekin
dimāġh dhyān pe kab iḳhtiyār terā hai
chhupānā talvoñ ke chhāloñ ko laakh tū 'sīmā'
tirī thakān pe kab iḳhtiyār terā hai
pighalti jaan pe kab iKHtiyar tera hai
ki shama-dan pe kab iKHtiyar tera hai
qafas ki qaid mein rakh lakh baal-o-par mere
meri uDan pe kab iKHtiyar tera hai
qalam zarur tu hathon se chhin sakta hai
meri zaban pe kab iKHtiyar tera hai
zamin to chhin li pairon tale ki tu ne magar
is aasman pe kab iKHtiyar tera hai
ye mana zaKHm to bhar dega waqt ka marham
magar nishan pe kab iKHtiyar tera hai
ye tera jism pe dawa to Thik hai lekin
dimagh dhyan pe kab iKHtiyar tera hai
chhupana talwon ke chhaalon ko lakh tu 'sima'
teri thakan pe kab iKHtiyar tera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.