pighalti shama se main KHud ko be-KHabar kar lun
pighaltī sham.a se maiñ ḳhud ko be-ḳhabar kar luuñ
ġhazal ko fikr kī hiddat se mo'atabar kar luuñ
safar tavīl hai lekin yuuñ muḳhtasar kar luuñ
maiñ apnī dūrī-e-manzil ko ham-safar kar luuñ
fusūn-e-shab ko nigāhoñ se muttasil kar ke
hudūd-e-ḳhvāb ko vābasta-e-sahar kar luuñ
falak pe chāñd sitāre hasad se jalte haiñ
maiñ apnī quvvat-e-parvāz muḳhtasar kar luuñ
pighalti shama se main KHud ko be-KHabar kar lun
ghazal ko fikr ki hiddat se mo'atabar kar lun
safar tawil hai lekin yun muKHtasar kar lun
main apni duri-e-manzil ko ham-safar kar lun
fusun-e-shab ko nigahon se muttasil kar ke
hudud-e-KHwab ko wabasta-e-sahar kar lun
falak pe chand sitare hasad se jalte hain
main apni quwwat-e-parwaz muKHtasar kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.