pi jab ki mai-e-ishrat ki jab ye KHata tauba
pī jab ki mai-e-ishrat kī jab ye ḳhatā tauba
pī pī ke sharāb-e-ġham sau baar kahā tauba
karnā thā mujhe sajda maiñ bhuul gayā tauba
jā kar dar-e-jānāñ par kī maiñ ne ḳhatā tauba
duniyā meñ koī kis se kartā hai vafā tauba
dil jis ko diyā ham ne kī us ne daġhā tauba
ik jaam ke piite hī maiñ jhuum gayā tauba
saaqī ye piyāle meñ kyā tū ne diyā tauba
is darja huī muztar yūsuf kī mohabbat meñ
āḳhir ko zuleḳhā ne kī but se hayā tauba
piite hī sharāb-e-ġham sab aish hue ruḳhsat
maiñ lazzat-e-ishrat bhī ab bhuul gayā tauba
har-vaqt gunāhoñ se go thī mujhe dilchaspī
thā ijz pasand un ko kartā hī rahā tauba
ik ālam-e-hairat meñ āġhosh-e-mohabbat meñ
mai kis ne pilā.ī thī maiñ bhuul gayā tauba
jo kaam na karnā thā vo kaam kiyā maiñ ne
jo kaam thā karne kā vo ho na sakā tauba
aaya huuñ azal se maiñ vārafta haqīqat kā
duniyā kī mohabbat meñ ho jā.ūñ fanā tauba
kuchh shauq-e-shahādat meñ kuchh josh-e-mohabbat meñ
qātil ke tabassum par bismil ne kahā tauba
bas dekh lī ai duniyā ye chāragarī terī
bīmār-e-mohabbat ko detī hai davā tauba
rindoñ ke muqaddar meñ thī bāda-kashī lekin
vaa.iz ne jo mai pī lī saaqī ne kahā tauba
har-vaqt tasavvur meñ har ḳhalvat-o-jalvat meñ
sau baar unheñ dekhā phir bhuul gayā tauba
hai aag kī bārish sī siine meñ 'umar' har dam
hai ishq kī duniyā meñ garm āb-o-havā tauba
pi jab ki mai-e-ishrat ki jab ye KHata tauba
pi pi ke sharab-e-gham sau bar kaha tauba
karna tha mujhe sajda main bhul gaya tauba
ja kar dar-e-jaanan par ki main ne KHata tauba
duniya mein koi kis se karta hai wafa tauba
dil jis ko diya hum ne ki us ne dagha tauba
ek jam ke pite hi main jhum gaya tauba
saqi ye piyale mein kya tu ne diya tauba
is darja hui muztar yusuf ki mohabbat mein
aaKHir ko zuleKHa ne ki but se haya tauba
pite hi sharab-e-gham sab aish hue ruKHsat
main lazzat-e-ishrat bhi ab bhul gaya tauba
har-waqt gunahon se go thi mujhe dilchaspi
tha ijz pasand un ko karta hi raha tauba
ek aalam-e-hairat mein aaghosh-e-mohabbat mein
mai kis ne pilai thi main bhul gaya tauba
jo kaam na karna tha wo kaam kiya main ne
jo kaam tha karne ka wo ho na saka tauba
aaya hun azal se main warafta haqiqat ka
duniya ki mohabbat mein ho jaun fana tauba
kuchh shauq-e-shahadat mein kuchh josh-e-mohabbat mein
qatil ke tabassum par bismil ne kaha tauba
bas dekh li ai duniya ye chaaragari teri
bimar-e-mohabbat ko deti hai dawa tauba
rindon ke muqaddar mein thi baada-kashi lekin
waiz ne jo mai pi li saqi ne kaha tauba
har-waqt tasawwur mein har KHalwat-o-jalwat mein
sau bar unhen dekha phir bhul gaya tauba
hai aag ki barish si sine mein 'umar' har dam
hai ishq ki duniya mein garm aab-o-hawa tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.