pi kar sharab bazm mein phir aaiye zara
pī kar sharāb bazm meñ phir aa.iye zarā
hai mai-kashī meñ hosh bhī batlā.īye zarā
yuuñ paḌh rakhe haiñ ham ne to kitne hī faisle
dil kī ibāratoñ ko bhī paḌhvā.īye zarā
mujh sā nahīñ milegā tumheñ yaar phir kahīñ
chāheñ to ghuum kar ye jahāñ aa.iye zarā
achchhī nahīñ hai be-ruḳhī mujh se yuuñ aap kī
aa kar qarīb se hī guzar jā.iye zarā
hotā kabhī habīb jo bantā raqīb hai
qismat ke rañg dekhte rah jā.iye zarā
bāhar bahut hī gard hai dhoke fareb kī
yuuñ pairahan badal ke hī ghar aa.iye zarā
beḌī bane haiñ kuchh to yahāñ rasm aur rivāj
yuuñ 'gīt' ko qafas se nikalvā.iye zarā
pi kar sharab bazm mein phir aaiye zara
hai mai-kashi mein hosh bhi batlaiye zara
yun paDh rakhe hain hum ne to kitne hi faisle
dil ki ibaraton ko bhi paDhwaiye zara
mujh sa nahin milega tumhein yar phir kahin
chahen to ghum kar ye jahan aaiye zara
achchhi nahin hai be-ruKHi mujh se yun aap ki
aa kar qarib se hi guzar jaiye zara
hota kabhi habib jo banta raqib hai
qismat ke rang dekhte rah jaiye zara
bahar bahut hi gard hai dhoke fareb ki
yun pairahan badal ke hi ghar aaiye zara
beDi bane hain kuchh to yahan rasm aur riwaj
yun 'git' ko qafas se nikalwaiye zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.