pi kar sharab mast na ho hoshiyar ho
pī kar sharāb mast na ho hoshiyār ho
piine kā jab mazā hai nashe par savār ho
sāġhar chhalak rahā ho har ik rāgnī ke saath
pahlū meñ tū ho aur chaman meñ bahār ho
vo aa.eñ gar to dekh na paa.e koī unheñ
aise kisī maqām pe merā mazār ho
vaa.iz nasīhatoñ kā samāñ ab guzar gayā
vo chāhiye bashar jo mirā ġham-gusār ho
jis ko chhupā-chhupā ke rakhā apnī jaañ ke saath
vo raaz ai ḳhudā na kabhī āshkār ho
aisī nashīlī āñkheñ bhī dekhī haiñ ai 'karan'
maiñ pī rahā huuñ āñkhoñ meñ us kī ḳhumār ho
pi kar sharab mast na ho hoshiyar ho
pine ka jab maza hai nashe par sawar ho
saghar chhalak raha ho har ek ragni ke sath
pahlu mein tu ho aur chaman mein bahaar ho
wo aaen gar to dekh na pae koi unhen
aise kisi maqam pe mera mazar ho
waiz nasihaton ka saman ab guzar gaya
wo chahiye bashar jo mera gham-gusar ho
jis ko chhupa-chhupa ke rakha apni jaan ke sath
wo raaz ai KHuda na kabhi aashkar ho
aisi nashili aankhen bhi dekhi hain ai 'karan'
main pi raha hun aankhon mein us ki KHumar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.