pi leta hun to sach ke siwa kuchh nahin kahta
pi leta hun to sach ke siwa kuchh nahin kahta
Mohan Singh Deewana
MORE BYMohan Singh Deewana
pī letā huuñ to sach ke sivā kuchh nahīñ kahtā
mastī meñ ba-juz harf-e-duā kuchh nahīñ kahtā
vaa.iz kī majālis meñ safā-kesh na jaa.eñ
be-harf-o-hikāyāt riyā kuchh nahīñ kahtā
jo chāhe kare mujh ko sazā de ki jazā de
rahtā huuñ maiñ rāzī-ba-razā kuchh nahīñ kahtā
jab sāmne aatā hai koī paikar-e-ḳhūbī
juz hamd-e-ḳhudā shukr-e-ḳhudā kuchh nahīñ kahtā
jo murshid-e-kāmil hai vo ḳhurshīd ke mānind
baḳhshe hai murīdoñ ko ziyā kuchh nahīñ kahtā
darbār-e-shah-e-husn meñ 'dīvāna' pahuñch kar
kartā hai faqīrāna sadā kuchh kahtā
pi leta hun to sach ke siwa kuchh nahin kahta
masti mein ba-juz harf-e-dua kuchh nahin kahta
waiz ki majalis mein safa-kesh na jaen
be-harf-o-hikayat riya kuchh nahin kahta
jo chahe kare mujh ko saza de ki jaza de
rahta hun main raazi-ba-raza kuchh nahin kahta
jab samne aata hai koi paikar-e-KHubi
juz hamd-e-KHuda shukr-e-KHuda kuchh nahin kahta
jo murshid-e-kaamil hai wo KHurshid ke manind
baKHshe hai muridon ko ziya kuchh nahin kahta
darbar-e-shah-e-husn mein 'diwana' pahunch kar
karta hai faqirana sada kuchh kahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.