pi raha hai zindagi ki dhup kitne pyar se
pī rahā hai zindagī kī dhuup kitne pyaar se
duur jo baiThā huā hai sāya-e-dīvār se
gosha-e-dil kī ḳhamoshī ghar meñ bhī miltī nahīñ
ghar ke hangāme bhī kam hote nahīñ bāzār se
zindagī ke har qadam meñ vaqt kī raftār hai
zindagī ko nāpnā kyā vaqt kī raftār se
manzil-e-shahr-e-vafā shāyad bahut nazdīk hai
ab nazar aane lage haiñ rāste dushvār se
sochte kyā ho mire ghar meñ diyā koī nahīñ
raushnī to aa rahī hai raḳhna-e-dīvār se
pech-o-ḳham vo haiñ ukhaḌ jaatī haiñ sāñseñ bhī jahāñ
tai na kar rāh-e-tamannā ek hī raftār se
dekhnā jo chāhte ho zindagī kā bāñkpan
aao vo manzar dikhā.eñ ham farāz-e-dār se
kis qadar ḳhuddār the vo paañv ke chhāle na pūchh
koī sargoshī na kī zanjīr kī jhankār se
pi raha hai zindagi ki dhup kitne pyar se
dur jo baiTha hua hai saya-e-diwar se
gosha-e-dil ki KHamoshi ghar mein bhi milti nahin
ghar ke hangame bhi kam hote nahin bazar se
zindagi ke har qadam mein waqt ki raftar hai
zindagi ko napna kya waqt ki raftar se
manzil-e-shahr-e-wafa shayad bahut nazdik hai
ab nazar aane lage hain raste dushwar se
sochte kya ho mere ghar mein diya koi nahin
raushni to aa rahi hai raKHna-e-diwar se
pech-o-KHam wo hain ukhaD jati hain sansen bhi jahan
tai na kar rah-e-tamanna ek hi raftar se
dekhna jo chahte ho zindagi ka bankpan
aao wo manzar dikhaen hum faraaz-e-dar se
kis qadar KHuddar the wo panw ke chhaale na puchh
koi sargoshi na ki zanjir ki jhankar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.