pine den mai-kashon ko jahan bhi piya karen
piine deñ mai-kashoñ ko jahāñ bhī piyā kareñ
sajda vuzū kareñ na kareñ bas duā kareñ
kānoñ ne kyā sunā thā zabānoñ ne kyā kahā
insāniyat ghaTī hai yahāñ kam milā kareñ
rū-posh phir rahe haiñ riyāsat ke bādshāh
gaddī pe phir ye kaun hai chaliye pata kareñ
amn-e-jahāñ ko jhoñk dī apnī javāniyāñ
is se ziyāda 'dīp' bhalā aur kyā kareñ
pine den mai-kashon ko jahan bhi piya karen
sajda wuzu karen na karen bas dua karen
kanon ne kya suna tha zabanon ne kya kaha
insaniyat ghaTi hai yahan kam mila karen
ru-posh phir rahe hain riyasat ke baadshah
gaddi pe phir ye kaun hai chaliye pata karen
amn-e-jahan ko jhonk di apni jawaniyan
is se ziyaada 'dip' bhala aur kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.