pine do zahido pine ki ghaDi hai
piine do zāhido piine kī ghaḌī hai
'umr 'ibādat ke liye Dher paḌī hai
sāqiyā kyoñ ḳhum uThāne kī paḌī hai
na kamī mai kī hai na ham ko chaḌhī hai
tauba ke baa'd hai haal apnā ye saaqī
jaam chhalkā to chhalak aañkh paḌī hai
kam na kar saaz kī lai tū abhī mutrib
sub.h hone meñ abhī der baḌī hai
nāchte haiñ sab ishāre pe unhīñ ke
paas un ke koī jaadū kī chhaḌī hai
dekhte kyā 'sadā' vo mushkileñ terī
laġhzishoñ pe tirī aañkh un kī gaḌī hai
pine do zahido pine ki ghaDi hai
'umr 'ibaadat ke liye Dher paDi hai
saqiya kyon KHum uThane ki paDi hai
na kami mai ki hai na hum ko chaDhi hai
tauba ke ba'd hai haal apna ye saqi
jam chhalka to chhalak aankh paDi hai
kam na kar saz ki lai tu abhi mutrib
subh hone mein abhi der baDi hai
nachte hain sab ishaare pe unhin ke
pas un ke koi jadu ki chhaDi hai
dekhte kya 'sada' wo mushkilen teri
laghzishon pe teri aankh un ki gaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.