pine walon ka ehtiram karo
piine vāloñ kā ehtirām karo
jām-o-mīnā kā intizām karo
barq gir jaa.e jo nazar Daalo
phuul khil jaa.e gar kalām karo
kitnā saada hai pyaar kā nusḳha
jis kisī se milo salām karo
kuchh faqīroñ ke saath bhī baiTho
apnī hastī ko nek-nām karo
ab tumhārā huuñ bas tumhārā huuñ
ab mujhe shaah kā ġhulām karo
pine walon ka ehtiram karo
jam-o-mina ka intizam karo
barq gir jae jo nazar Dalo
phul khil jae gar kalam karo
kitna sada hai pyar ka nusKHa
jis kisi se milo salam karo
kuchh faqiron ke sath bhi baiTho
apni hasti ko nek-nam karo
ab tumhaara hun bas tumhaara hun
ab mujhe shah ka ghulam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.