pir-e-mai-KHana pe marte hain muridon ki tarah
pīr-e-mai-ḳhāna pe marte haiñ murīdoñ kī tarah
jaan dete haiñ mohabbat meñ shahīdoñ kī tarah
inhīñ kaliyoñ kā lahū zeb-e-bahārāñ to nahīñ
mil ga.iiñ ḳhaak meñ jo merī ummīdoñ kī tarah
ham ne dekhe haiñ kuchh aise bhī qarābat vaale
pesh aate haiñ jo apnoñ se yazīdoñ kī tarah
haa.e vo kaif meñ Duubī huī biitī ghaḌiyāñ
yaad aatī haiñ jo guzrī huī eidoñ kī tarah
un se ummīd-e-mohabbat koī kyā rakhe 'sabā'
phir ga.e jo kisī bīmār ke dīdoñ kī tarah
pir-e-mai-KHana pe marte hain muridon ki tarah
jaan dete hain mohabbat mein shahidon ki tarah
inhin kaliyon ka lahu zeb-e-bahaaran to nahin
mil gain KHak mein jo meri ummidon ki tarah
hum ne dekhe hain kuchh aise bhi qarabat wale
pesh aate hain jo apnon se yazidon ki tarah
hae wo kaif mein Dubi hui biti ghaDiyan
yaad aati hain jo guzri hui eidon ki tarah
un se ummid-e-mohabbat koi kya rakhe 'saba'
phir gae jo kisi bimar ke didon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.