piirī meñ dil shabāb kā ḳhvāhāñ kahāñ rahā
iflās meñ uruuj kā armāñ kahāñ rahā
sajda kiyā butoñ ko to īmāñ kahāñ rahā
ai banda-e-ḳhudā tū musalmāñ kahāñ rahā
a.amāl-e-bad pe apne jo royā dam-e-fanā
merā siyāh nāma-e-isyāñ kahāñ rahā
mansūr ne kahā jo anal-haq huā na zabt
sab raaz faash ho gayā pinhāñ kahāñ rahā
rindoñ ko piiTh pīchhe burā kah rahā hai tū
vaa.iz mujhe batā tū musalmāñ kahāñ rahā
raftār-e-yār dekh ke nādim huā kahāñ
kabk-e-darī chaman meñ ḳhirāmāñ kahāñ rahā
un se ziyā-e-chehra-e-jānāñ jo dekh le
tābinda charḳh par mah-e-tābāñ kahāñ rahā
allah re zor-e-dast-e-junūñ kā bahār meñ
sālim har ek tār-e-garebāñ kahāñ rahā
fasl-e-bahār meñ thā ye mere junūñ kā zor
dāman kahāñ rahā hai garebāñ kahāñ rahā
niklī jo ruuh jism se begāna ho ga.ī
thā jo ki ittihād-e-tan-o-jāñ kahāñ rahā
sunte hī aib aur hunar us kā dekh le
aisī sifat kā koī suḳhan-dāñ kahāñ rahā
muusā ko tuur par jo tajallī nazar paḌī
vāraftagī meñ hosh kā sāmāñ kahāñ rahā
nazzāra roz kartā thā rū-e-nigār kā
poshīda merī aañkh se qur.āñ kahāñ rahā
samjhe haiñ ghar ḳhudā kā ye but-ḳhāna vo haram
phir ittifāq-e-kufr-o-musalmāñ kahāñ rahā
kāñToñ meñ phañs ke ho gayā sad-chāk shakl-e-gul
sālim bahār meñ mirā dāmāñ kahāñ rahā
sham-e-sahar kī tarah se be-nūr ho gayā
piirī meñ dāġh-e-ishq numāyāñ kahāñ rahā
ho nukta-sanjiyoñ se tirī shaad ai 'vafā'
aisā jahāñ meñ koī suḳhan-dāñ kahāñ rahā
piri mein dil shabab ka KHwahan kahan raha
iflas mein uruj ka arman kahan raha
sajda kiya buton ko to iman kahan raha
ai banda-e-KHuda tu musalman kahan raha
aamal-e-bad pe apne jo roya dam-e-fana
mera siyah nama-e-isyan kahan raha
mansur ne kaha jo anal-haq hua na zabt
sab raaz fash ho gaya pinhan kahan raha
rindon ko piTh pichhe bura kah raha hai tu
waiz mujhe bata tu musalman kahan raha
raftar-e-yar dekh ke nadim hua kahan
kabk-e-dari chaman mein KHiraman kahan raha
un se ziya-e-chehra-e-jaanan jo dekh le
tabinda charKH par mah-e-taban kahan raha
allah re zor-e-dast-e-junun ka bahaar mein
salim har ek tar-e-gareban kahan raha
fasl-e-bahaar mein tha ye mere junun ka zor
daman kahan raha hai gareban kahan raha
nikli jo ruh jism se begana ho gai
tha jo ki ittihad-e-tan-o-jaan kahan raha
sunte hi aib aur hunar us ka dekh le
aisi sifat ka koi suKHan-dan kahan raha
musa ko tur par jo tajalli nazar paDi
waraftagi mein hosh ka saman kahan raha
nazzara roz karta tha ru-e-nigar ka
poshida meri aankh se quran kahan raha
samjhe hain ghar KHuda ka ye but-KHana wo haram
phir ittifaq-e-kufr-o-musalman kahan raha
kanTon mein phans ke ho gaya sad-chaak shakl-e-gul
salim bahaar mein mera daman kahan raha
sham-e-sahar ki tarah se be-nur ho gaya
piri mein dagh-e-ishq numayan kahan raha
ho nukta-sanjiyon se teri shad ai 'wafa'
aisa jahan mein koi suKHan-dan kahan raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.