piri mein jawani ke nishan DhunD raha hun
piirī meñ javānī ke nishāñ DhūñD rahā huuñ
khoyā hai kahāñ ḳhud ko kahāñ DhūñD rahā huuñ
kuchh maiñ ne ḳharīde haiñ rafīqoñ ke liye tiir
kis haath meñ ḳhālī hai kamāñ DhūñD rahā huuñ
duniyā meñ to rahne kā salīqa nahīñ aaya
aflāk pe rahne ko makāñ DhūñD rahā huuñ
ahvāl to sab apnā hī karnā hai mujhe arz
pairāya-e-lafz-e-digarāñ DhūñD rahā huuñ
ummīd mujhe hai dil-e-kāfir se vafā kī
but-ḳhāne meñ āvāz-e-azāñ DhūñD rahā huuñ
vo DhūñD rahe haiñ koī jaane kā bahāna
maiñ huuñ ki dil-e-soḳhta-jāñ DhūñD rahā huuñ
sach kahne pe āmāda hai vo aaj magar maiñ
is sach meñ hai kis kis kā ziyāñ DhūñD rahā huuñ
jiine kī tavānā.ī to baḳhshī hai ḳhudā ne
marne ke liye tāb-o-tavāñ DhūñD rahā huuñ
vo dil kahīñ murda mire pahlū meñ na nikle
maiñ jis ko karāñ-tā-ba-karāñ DhūñD rahā huuñ
ajdād ke tahzīb ke daftar ko jalā kar
maġhrib ke sahīfoñ meñ amaañ DhūñD rahā huuñ
uktā ke 'shahāb' ahl-e-samā.at ke karam se
haiñ yār-e-garāñ-gosh kahāñ DhūñD rahā huuñ
piri mein jawani ke nishan DhunD raha hun
khoya hai kahan KHud ko kahan DhunD raha hun
kuchh main ne KHaride hain rafiqon ke liye tir
kis hath mein KHali hai kaman DhunD raha hun
duniya mein to rahne ka saliqa nahin aaya
aflak pe rahne ko makan DhunD raha hun
ahwal to sab apna hi karna hai mujhe arz
pairaya-e-lafz-e-digaran DhunD raha hun
ummid mujhe hai dil-e-kafir se wafa ki
but-KHane mein aawaz-e-azan DhunD raha hun
wo DhunD rahe hain koi jaane ka bahana
main hun ki dil-e-soKHta-jaan DhunD raha hun
sach kahne pe aamada hai wo aaj magar main
is sach mein hai kis kis ka ziyan DhunD raha hun
jine ki tawanai to baKHshi hai KHuda ne
marne ke liye tab-o-tawan DhunD raha hun
wo dil kahin murda mere pahlu mein na nikle
main jis ko karan-ta-ba-karan DhunD raha hun
ajdad ke tahzib ke daftar ko jala kar
maghrib ke sahifon mein aman DhunD raha hun
ukta ke 'shahab' ahl-e-samaat ke karam se
hain yar-e-garan-gosh kahan DhunD raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.