pite hi surKH aankhen hain mast-e-sharab ki
piite hī surḳh āñkheñ haiñ mast-e-sharāb kī
garmī to dekho Duube hue āftāb kī
ruḳh se judā jo hashr meñ tum ne naqāb kī
duniyā ye taab lā.egī do āftāb kī
saaqī ye raqm sach hai jo mujh par hisāb kī
botal pe haath rakh ke qasam khā sharāb kī
kyā kam thā husn-e-bāġh ki ai bāġhbān-e-husn
ik shāḳh tū ne aur lagā dī shabāb kī
vo to rahā kalīm ke isrār kā javāb
aur ye jo tū ne tuur kī miTTī ḳharāb kī
muusā ko us ne sar pe chaḌhāyā bhī thā bahut
jalve ne ḳhuub tuur kī miTTī ḳharāb kī
phero na āñkheñ tum mire ashkoñ ke josh par
tūfāñ meñ Dūbtī nahīñ kashtī habāb kī
allāh us kā kuchh bhī javānī pe haq nahīñ
barsoñ duā.eñ māñgī haiñ jis ne shabāb kī
rakhiye muaaf shaiḳh-jī masjid meñ hajv-e-mai
bāteñ ḳhudā ke ghar meñ na kiije sharāb kī
bāġh-e-jahāñ meñ aur bhī tum se to haiñ magar
har phuul meñ nahīñ hai nazākat gulāb kī
jab se ga.e haiñ dekh ke taare vo ai 'qamar'
sūrat badal ga.ī hai shab-e-māhtāb kī
pite hi surKH aankhen hain mast-e-sharab ki
garmi to dekho Dube hue aaftab ki
ruKH se juda jo hashr mein tum ne naqab ki
duniya ye tab laegi do aaftab ki
saqi ye raqm sach hai jo mujh par hisab ki
botal pe hath rakh ke qasam kha sharab ki
kya kam tha husn-e-bagh ki ai baghban-e-husn
ek shaKH tu ne aur laga di shabab ki
wo to raha kalim ke israr ka jawab
aur ye jo tu ne tur ki miTTi KHarab ki
musa ko us ne sar pe chaDhaya bhi tha bahut
jalwe ne KHub tur ki miTTi KHarab ki
phero na aankhen tum mere ashkon ke josh par
tufan mein Dubti nahin kashti habab ki
allah us ka kuchh bhi jawani pe haq nahin
barson duaen mangi hain jis ne shabab ki
rakhiye muaf shaiKH-ji masjid mein hajw-e-mai
baaten KHuda ke ghar mein na kije sharab ki
bagh-e-jahan mein aur bhi tum se to hain magar
har phul mein nahin hai nazakat gulab ki
jab se gae hain dekh ke tare wo ai 'qamar'
surat badal gai hai shab-e-mahtab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.