pila de haqiqat ka ek jam saqi
pilā de haqīqat kā ik jaam saaqī
maiñ letā rahūñgā tirā naam saaqī
idhar bhī nigāh-e-karam ho ḳhudā-rā
ki huuñ āftāb-e-lab-e-bām saaqī
ghaTā-Top tārīkiyāñ chār-sū haiñ
sahar hai mire vāste shaam saaqī
gunāhoñ ke dariyā meñ khātā huuñ ġhote
nahīñ ek pal mujh ko ārām saaqī
mujhe apnī āġhosh-e-rahmat meñ le le
sunā hai tirā faiz hai aam saaqī
maiñ aaya huuñ le kar tire mai-kade meñ
tamannā-e-durd-e-tah-e-jām saaqī
sunā de zamāne ko tū az-sar-e-nau
uḳhuvvat kā islāmī paiġhām saaqī
ajab kyā banā de tū is ko niko-nām
ye sach hai ki 'maz.har' hai badnām saaqī
pila de haqiqat ka ek jam saqi
main leta rahunga tera nam saqi
idhar bhi nigah-e-karam ho KHuda-ra
ki hun aaftab-e-lab-e-baam saqi
ghaTa-Top tarikiyan chaar-su hain
sahar hai mere waste sham saqi
gunahon ke dariya mein khata hun ghote
nahin ek pal mujh ko aaram saqi
mujhe apni aaghosh-e-rahmat mein le le
suna hai tera faiz hai aam saqi
main aaya hun le kar tere mai-kade mein
tamanna-e-durd-e-tah-e-jam saqi
suna de zamane ko tu az-sar-e-nau
uKHuwwat ka islami paigham saqi
ajab kya bana de tu is ko niko-nam
ye sach hai ki 'mazhar' hai badnam saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.