pinjre mein hamein na aana tha
pinjre meñ hameñ na aanā thā
kyā kareñ yaañ bhī āb-o-dānā thā
us kī jā kar galī meñ khoyā vaqr
ab maiñ jaanā ki vaañ na jaanā thā
ek din vo nazar paḌā sāhib
jis liye shab ko tilmilānā thā
tab kahā chashm ko maiñ ai kam-baḳht
vasl meñ ashk ye bahānā thā
us kī tasvīr aa.ī āñkhoñ meñ
paañv us ke mujhe dhulānā thā
pinjre mein hamein na aana tha
kya karen yan bhi aab-o-dana tha
us ki ja kar gali mein khoya waqr
ab main jaana ki wan na jaana tha
ek din wo nazar paDa sahib
jis liye shab ko tilmilana tha
tab kaha chashm ko main ai kam-baKHt
wasl mein ashk ye bahana tha
us ki taswir aai aankhon mein
panw us ke mujhe dhulana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.