piroe ashkon ke ro-ro ke haar gori ne
piro.e ashkoñ ke ro-ro ke haar gorī ne
taḌap-taḌap ke guzārī bahār gorī ne
bujhā ke aas kī palkeñ kisī kī rāhoñ meñ
tamām 'umr kiyā intizār gorī ne
taras ga.e haiñ hañsī ke liye gulāb se hoñT
kiyā thā kaun ghaḌī jaane pyaar gorī ne
taras ga.ī hai hasīñ maañg motiyoñ ke liye
siñgār kar diyā kis par nisār gorī ne
hasīn phuul sā chehra hai khoyā khoyā huā
kahāñ luTā diyā dil kā qarār gorī ne
lagī kī aag meñ jal jal ke ruup raakh huā
zabāñ tak aane nahīñ dī pukār gorī ne
na āñsuoñ kī zabāñ se bhī dil kā bhed kahā
kiyā na aahoñ kā bhī e'tibār gorī ne
birah kī raat meñ phūTī na ek bhī to kiran
sajā.e palkoñ pe taare hazār gorī ne
gila kiyā na kisī se kaThor sājan kā
jahāñ ke tiir sahe be-shumār gorī ne
piroe ashkon ke ro-ro ke haar gori ne
taDap-taDap ke guzari bahaar gori ne
bujha ke aas ki palken kisi ki rahon mein
tamam 'umr kiya intizar gori ne
taras gae hain hansi ke liye gulab se honT
kiya tha kaun ghaDi jaane pyar gori ne
taras gai hai hasin mang motiyon ke liye
singar kar diya kis par nisar gori ne
hasin phul sa chehra hai khoya khoya hua
kahan luTa diya dil ka qarar gori ne
lagi ki aag mein jal jal ke rup rakh hua
zaban tak aane nahin di pukar gori ne
na aansuon ki zaban se bhi dil ka bhed kaha
kiya na aahon ka bhi e'tibar gori ne
birah ki raat mein phuTi na ek bhi to kiran
sajae palkon pe tare hazar gori ne
gila kiya na kisi se kaThor sajan ka
jahan ke tir sahe be-shumar gori ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.